Friday, 27 March 2015

:)


apki muskurahat se din bnta hai hmara
nam ankhon se apki dil dhehta hai hmara..
adat kahein pyar kahein ya kahein isey kuch aur,
inhi baahon mein hai meri jannat ka ishara....

apko dekhe bina din dhalta nhi hmara..
apko koi aur dekhe toh dil jalta hai hmara..
sapna kahein hakeekat kahein ya kahein isey kuch aur...
ab bina apke nahi hai wajaood  hmara,

apke siva ab kuch dil ko nhi bhata,
bina dekhe apko hmein chain nhi ata,
zindagi mile maut miley, ya miley mujhe kuch aur..
ab toh tuhi lagta hai mujhe mere jeene ka sahara